Ad Code

Responsive Advertisement

Ticker

6/recent/ticker-posts

How to Change My Computer Folder Icon in Hindi?


How to Change Folder Icon in Computer

Hello Friends, Kaise hai aap? Aaj ki is post me mai aapko apne computer folder ke icon ko change karna bataunga. Aur Sath hi ye bhi bataunga ki aap apne comuter folder ke icon ki jagah apna photo kaise laga skte hai. Kaafi interesting ye topic hai aur aasha karta hu aapko yah trick jarur pasand aayegi.
Yaha pr humko alag se koi software install krne ki jarurat nhi hai. Mai jo bhi batane ja rha hu vo sab aapke computer me hi ho jayega bina kisi third party software ki help ke. To chaliye shuru karte hai step by step process.


Yaha mai aapko bata dena chahta hu ki hamare jo bhi photos hote hai unki size kaafi badi hoti hai aur hum apne un photos ko kisi bhi folder ke icon ke rup me use nhi kr skte. Qki kisi bhi icon aur photo me kaafi difference hota hai. Isliye yadi hum apna photo kisi folder ke icon ki jagah lagana chahte hai to hume apne photo ko pahle ek icon banana padega. icon ki size kaafi chhoti hoti hai. Isliye apne photo ki size ko kaafi kam karna hoga aur uska formate bhi change karna hoga. Ye sab kaise hoga aap is post ko dhyan se padhe sabkuchh clear ho jayega.
Sabse pahle aapko apna ko photo lena hai jise aap kisi folder ke icon ki jagah use karna chahte hai. Aur us photo ko Paint Brush me open karna hai. PaintBrush open krne ke liye keyboard se shortcut key Window Key + R press kare aur mspaint type karke enter key press kare. PaintBrush open ho jayega. Isme aapko koi bhi ek image lena hai jise ki aap folder icon ke rup me use karna chahte hai. Image PaintBrush me open hone ke baad aapko Resize pr click karna hai.

Folder Icon Change Process
Resize pr click karne ke baad Aapke samne ek small window open hogi Aur is window me aapko kuchh changes karne hai. Sabse pahle to aap pixel ko select kar lenge jaisa ki picture me dikhaya gya hai. ISke baad aapko Horizontal aur Verticle dono jagah 60-60 value dalna hai jaisa ki aap dekh skte hai. Aur iske baad  OK button pr click kar dena hai. Aisa karne se aap dekhenge ki aapko Photo/Picture/Image ki size kaafi kam ho gai hai aur photo kaafi chhota dikhai dene lga hai. Ab iske baad ise save kaise karna hai.

Process to Change Folder Icon in PC
File ko save karne ke liye File Menu pr click kare. Iske baad  Save As Option pr click kare Aur iske baad Other Formats pr click karna hai. Aisa isliye Qki hum is Image ka formate change karna chahte hai. Is Image ko hum .ico format me covert karenge iske baad hi folder icon change hoga.
Folder ka icon kaise change kare ya kaise badhle Hindi Me

Aap Is Image ko Save As pr click karke kahi pr bhi save kr skte hai jaha aapko suitable lge. Lekin ek baat ka jarur dhyan rakhna hai ki file ka aap jo bhi name denge uske baad ".ico" jarur likhna hai aur formate me "24-bit Bitmap" select karna hai iske baad save kar dena hai. Aisa karne se hmare Picture/Image ek icon ke rup me save ho jaygi. Ab hum is icon ko kisi bhi folder ka icon bana skte hai.
Kaise Change kare Folder ka icon
Kisi bhi folder ka icon chnage karne ke liye us folder pr right click kariye Aur properties pr click karein. Properties pr click karne ke baad humare samne property window open ho jati hai. Jaisa ki niche Picture me dikhaya gya hai.


Change PC Folder Icon

Property window me humko Customize Tab pr click karna hai. Aur iske baad niche ki or  Change icon button pr click karna hai. jaise hi hum Change icon button pr click karenge humare samne ek window open ho jaegi. Isme humko kai sare icons dikhai denge.  In icons me se hum jo chahe vo icon select karke folder ke icon ko change kar skte hai. Lekin hum yaha par folder pr apna khud ka photo lagane ki trick sikh rhe hai. To ab hum yaha pr Browse button pr click karenge. Iske baad jo photo humne icon me convert krke save kiya tha use hum saved location se select karke OK Button pr click kar denge. Aur fir  Apply button pr click kr denge. Aise me hum dekhenge ki humare folder ka icon change ho gya hai.
So friends, Kaisi lagi humari yah trick. Ummed karta hu aapko yah trick jarur pasand aai hogi. Isi tarah ke aur bhi interesting technology posts padhne ke liye bane rahiye humare sath. Miulte hai humari next post me. Jai Hind, Vande Mataram.

यह ब्लॉग खोजें