Hibernate Vs Sleep Mode
Hello Friends, Aaj hum is post me "Hibernate aur Sleep Mode me kya difference hai" iske bare me samjhenge. Dosto kai bar kya hota hai ki jab hum apne computer pr kaam kar rhe hote hai aur jab kaafi saari files hum apne PC me open karke rakhte hai, is dauran yadi hum aadhe ghante ka break lena hota hai to hum apna PC band bhi nhi karte hai. Qki hume is bat ka dar rehta hai ki yadi computer band kar diya to sari files hme fr se open karni hogi. Aise me humara time waste ho jayga. Aise me hum apne Computer ko chalu hi chhor dete hai aur break le lete hai. Aise me humara PC faltu chalta rhega aur faltu me Electricity bhi consume hogi.
Dosto! iske liye computer me 2 options diye gye hai jiske dwara hum apne PC[Personal Computer] se power saving ke sath sath apna time bhi bacha skte hai. In dono options me first hai Sleep Mode aur dusra hai Hibernate Mode. ye dono hi options humare PC me available hote hai. Lekin kai sare logo ko in dono ke bich difference ka pata nhi hota. To aaj hum in dono options [Hibernate & Sleep Mode] bare me detail me janenge.
- भेजी गई सभी Friend Requests को एक बार में कैसे Cancel करें?
- Facebook Profile Picture की जगह Video कैसे Upload करें?
Sleep Mode: "Sleep Mode" Computer me power saving ka kam karta hai. Yadi hum apne PC me koi kam kar rhe hai aur hume ek chhota sa break lena hai to hum apne PC ya laptop ko Sleep Mode me dal skte hai. Apne PC ya laptop ko Sleep Mode me dalne se hume yah fayda hota hai ki humara jo bhi kam hai ya fir jo bhi documents hai sbkuch pause ho jata hai yani sara kam ruk jata hai aur humara PC, very low power mode me chale jata hai, jisse ki Power consuption kafi kam hota hai. Aur jaise hi hum fr se apne PC ko Normal Mode me laate hai, humara PC vaise hi kaam karna start kar deta hai. Lekin PC ya laptop Sleep Mode me use karne ka ek disadvantage bhi hai.
आपको ये भी पढ़ना चाहिए-
- Microsoft Defender क्या है?
- Laptop में Hotspot कैसे Create करें
- Computer Formatting कैसे करें?
- बिना छुए PC को Shut Down कैसे करें?
- WiFi Hotspot कैसे Create करें और कैसे On करें
- Copy-Paste की Speed कैसे Increase करें?
- Computer Hardware और Software क्या है?
- Computer से Data Permanently कैसे Delete करें?
- Hibernate और Sleep Mode में Kya Difference है?
- Enable "Delete Confirmation Dialog Box" in Windows
- How to Fix Error: Windows can not be installed to this disk
Jab bhi hum apne PC ya laptop ko Sleep Mode me rakhte hai aur man lijiye Power chale gya ya fir humare laptop ki battary chali gai, to aise me kya hoga ki jo bhi data ya documents hume PC me open the vo sara current data lost ho jayega. Qki jaisa ki hum jante hai jab bhi hum Sleep Mode use karte hai to sara current data RAM[Random Access Memory] pr hi available rehta hai. Jo ki ek Temporary Memory hoti hai. Aur yadi Sleep Mode ke dauran power chale jata hai to Temparary Memory[RAM] se vo sara ki sara current data lost ho jayega.
Hibernate: Hibernate Option specially Laptop ke liye design kiya gya hai isliye yah option aapko sare computers me nhi dikhai dega. Hibernate option bhi Sleep Mode ki tarah ki work karta hai lekin ye Sleep Mode se thoda alag hota hai. Sleep Mode me sare current documents RAM [Random Access Memory] pr stored hote hai aur Power jane pr sara current data lost ho jata hai.
Lekin Hibernate Mode me sara current data Hard Disk me store hota hai. Hibernate Mode me hum apne Laptop ko puri tarah se off kar dete hai. isme bilkul bhi power ka consuption nhi hota hai. Aur Data Lost hone ke chances bhi nhi hote. Qki jab sara data Hard Disk me stored ho chuka hai to data lose kaise hoga.
Haan lekin ek baat jarur hai ki Hibernate Mode se Normal Mode me aane me thoda sa time jarur lagta hai. Qki sara data fir se vaise ka vaise hi Hard Disk se uthkar RAM pr aata hai. Ek bat aur jab hum apne laptop ko Hibernate Mode me rakhte hai to Hibernate Mode, Hard Disk pr kaafi space consume karta hai Qki RAM ka sara current data bhi Hard Disk me aa jata hai. Aap System File ke Root Folder me hiberfil.sys file size se pata laga skte hai ki Hibernate Mode me kitni jagah use hoti hai.
Yadi humara PC ya laptop Hibernate Mode me hai aur Power chali jaye ya battary khatm ho jaye to bhi humara data lose nhi hota hai Sara Data Safe rehta hai Qki sara data Hard Disk me save hai. Yadi hum apne PC ya laptop pr kam karte samay lambe time ka break lena chahte hai to Hibernate Mode ek best option ho skta hai.
- एक सफल Business Man की क्या खासियत होती है?
- बेटी पैदा होने पर यह डॉक्टर नहीं लेता कोई फीस.बाँटता है मिठाई
PC ko Sleep Ya Hibernate Mode me kaise Dale
PC ya lapto ko Sleep Mode ya Hibernate Mode me dalne ke liye bahut hi aasan si tips hai. Ye dono option dekhne ke liye aapko simply Start Button pr click karna hai iske baad Shut down button pr click karna hai aapko apne PC ya laptop me dono options mil jayenge.
Yadi aapko ye options apne PC ya laptop me nahi dikhai dete hai to iske nimn kaaran ho skte ha-
1. Aapko Administrative Access nhi diya gya hai.
2. BIOS setting me Power Saving Mode Off ho skta hai.
3. Aapke PC me Video Card, Sleep Mode ko support nahi karta ho
So Friends, Aaj maine aapko Hibernate aur Sleep Mode me difference samjhane ki puri koshish ki hai. Yadi aapko is post se thoda bahut bhi kuchh sikhne ko mila ho to please comment jarur karna. Aur yadi koi doubt ho to vo bhi puchhe. Please is post ko apne friends ke sath jarur share kare. Milte hai humari next post me tab tak ke liye Thank You. Jai Hind, Jai Hindustan.
Social Plugin