QR Code Kya Hai
Online QR Code Kaise Banaye
Hello Friends, Aaj hum QR Code ke bare me detail me bat karenge aur smjhenge ki QR Code kya hota hai, QR Code kaha-kaha kaam aata hai aur QR Code kaise banaya jata hai. To yadi aap QR Code ke bare me puri jankari chahte hai to yah post last tak carefully padhiyega.
Friends, Sabse pahle mai aapko bata du ki jo QR Code hota hai vo ek aisa code hota hai jiske andar kisi product, person, company, organization aadi ki kuchh na kuchh detail hoti hai. Jab hum shopping mall me ya fir Super Bazaar me ya fir aisi kai sari jagah jaate hai to hme kai jagaho pr QR Code dekhne ko milta hai. Lekin hume pata nhi hota hai ki ise hi QR Code kaha jata hai.
Sabse achha ek exampale dena chahunga, aap apne pocket se apna Aadhar Card nikaaliye. Us pr dekhiye ek black color ka code aapko dikhai deta hai. Kya aapne is black color ke code par dhyan diya? Isi black color ke code ko hum QR Code kehte hai. QR Code ka full form Quick Response Code hota hai. Ab baat aati hai is QR Code ko hum read kaise kare. To iske liye sabse aasan tarika mai aapko
batata hu.Aajkal jo naye naye mobile phones market me aa rhe hai unme Scanner name ki app bhi inbuilt aa rhi hai. Aap us app ki help se kisi bhi QR Code ko scan krke pata laga skte hai ki us QR Code me kya hai. Jaise hi hum is app pr click karenge humare samne ek scanner open ho jata hai aur code ko find karne lgta hai. Aise me hum us scanner ko kisi QR Code ke upr lekr jate hai to us QR Code ke andr jo bhi detail hoti hai humare samne open ho jati hai. Iske alawa yadi aapke mobile me aisa koi scanner nhi hai to aap Google Play store se QR Code Scanner name ki app download kar skte hai. Aur us app ki help se hum QR Code ko scan kr uski detail ko read kr skte hai.
QR Code kaha kaam aata hai
Jab bhi hum kisi product ya kisi company ki koi important detail short me kisi ko show krna chahte hai to us detail ka QR Code banakar hum show kr skte hai. uske baad jisko us QR Code ki jankari ko padhna hoga vo us QR Code ko read/scan krke puri detail nikaal lega. Hum bhi apna QR Code create kar skte hai.
QR Code kaise create/generate kare
Hum chahe jis chiz ka QR Code generate kar skte hai. Jaise apne name ka, website ka, phone no. ka, email ka, website ka aisi kisi bhi chiz ka QR Code hum generate krke kisi ko send kar skte hai. QR Code generate karne ke liye yaha Click kare. Ab is website par aapko jis chiz ka QR Code generate krna ho aap us icon pr click kare. Sabhi icons ka meaning mai aapko yaha samjha rha hu.
www.goqr.me Website pr jaane ke baad jis bhi chiz ka QR Code
banana chahte hai vo select kar lein. Jaisa ki Left Side me maine aapko bataya
hai ki kaun se icon ka kya meaning hai. Suppose that aap apne name ka QR
Code banana chahte hai to Text option select kare aur apna Name typr kare.
Jaise hi aap apna name type karenge aapka QR Code generate ho jayga. Example
aap niche Image me dekh skte hai.
Maine pahle Text Option ko select kiya iske baad maine kuchh text type kiya. Aur automatically mera QR Code generate ho gya. Ab mai is PNG ya JPG formate me download kar skta hu. Iske liye mujhe Download pr click karna hoga. Ab ye QR Code aap kisi ko bhi send kar skte hai.
So Friends, Aapko humari yah post kaisi lagi, please comment karke jarur bataye. Aur QR Code generate karne me koi problem hoto please comment krke bataye. Apne friends ke sath is post ko jarur shariyega. Milte hai next post me tab tk apna khayaal rakhiyega. Hai Hind Jai Bharat.
Social Plugin