केंद्र सरकार के साथ मिलकर फ्री में अपना Business शुरू कीजिये
What is CSC (Common Service Center) and How to register for Common Service Center in Hindi? Hello Friends, Main hu Manish Rathore, Sadupayog [Best Hindi Blog] pr aapka bahut bahut swagat hai. Aaj hum bat karne wale hai CSC (Common Service Center) ke baare mein. CSC hota kya hai, Hum kaise CSC ke liye apply kar skte hai aur CSC Start karne ke liye humare pass kya kya chize hona chahiye, ye sabhi topics is post me cover kiye jaenge.
Friends, ek baat main aapko bta du ki CSC start karke aap apne Gav ya Shahar se hi Achha khasa paisa earn kar skte hai aapko kahi baahar jane ki jarurat nahi hai. Iske liye aapko koi Franchise Fess bhi nhi dena hai. Govt. free of cost aapko csc ki franchise de rhi hai. Ab sabse pahle hum bat kr lete hai ki ye CSC aakhir hai kya.
Friends, ek baat main aapko bta du ki CSC start karke aap apne Gav ya Shahar se hi Achha khasa paisa earn kar skte hai aapko kahi baahar jane ki jarurat nahi hai. Iske liye aapko koi Franchise Fess bhi nhi dena hai. Govt. free of cost aapko csc ki franchise de rhi hai. Ab sabse pahle hum bat kr lete hai ki ye CSC aakhir hai kya.
WHAT IS CSC? CSC क्या है?
To Friends, Yahan mai aapko batana chahunga ki CSC, India को "Digital India" बनाने की अब तक की सबसे बड़ी आधारशीला है. CSC, ek Process hai, India ke har chhote se chhote gaav ko Internet se connect krke us gaav ko Digital banaane ki. Doston, Jab se Note Bandi (Demonatization) hua hai tab se Indian Govt. cashless transaction par jor de rhi hai aur India ke har citizen se digital transaction karne ki apeal kr rhi hai.
Iske alwa Central Govt. ki sabhi yojnaaye jo ki gaav ke har nagrik tak pahle nahi pahuch pati thi, CSC ke maadhyam se vah kaam kiya ja rha hai. Aaj India me hazaaro log CSC apne apne gaav me CSC Center chala rhe hai. Aur Ladies bhi is kaam me pichhe nhi hai Desh ki kai mahilaayein bhi CSC Center chala rhi hai. To CSC Center ka main moto yhi hai ki desh ke har gaav ko internet se jodkar us Gav ko Digital village bnana hai. Qki Jab desh ka har gaav Digital banega tabhi to humara India, Digital India banega.
CSC Center शुरू करने के लिए कितनी Fees लगती है
Friends, Yadi aap apne Gav me ya fir apne aaspaas ke gaav me MPOnline lena Kiosk open karna chahte hai to iske liye aapko kuchh fees deni hoti hoti hai.MPOnline Registration ke liye yaha -> click kare. Lekin aapke gaav me (jaha CSC Center nhi hai) vaha par CSC Center ke liye apply krna chahte hai to iske liye aapko kisi ko bhi 1 rupye dene ki jarurat nhi hai. Aur yadi aapse koi iske naam par paise maangta hai to aap uske khilaaf Police complain bhi kar sakte hai.
CSC Center Govt. aapko free me de rhi hai. Yadi aap thode bahut padhe likhe hai, thode bahut yaani 10th-12th aur aapko computer ka thoda bahut bhi knowldege hai to aap CSC Center ke liye apply kr sakte hai. CSC Center par kaam karne ke liye aapko Govt. free me training bhi degi. Jab bhi aapke aaspaas ke area me training hogi tab aapko inform kar diya jaega vha jakr aap training bhi le sakte hai. Ya fir aapko kaam karne me koi pareshani aati hai to aap apne District Manager (DM) se bhi phone par bat kar apne problem bta skte hai. DM ke phone number ki list ki link maine isi post me aage di hui hai.
CSC me humko paisa kaise aur kitna milega
Friends, CSC yani Common Service Center me Central Govt ki kai sari services hai jo hum apne gav ke logo ko de skte hai. Uske badle me jo bhi pre-decided fees hai vo humko logo se lena hoti hai. Iske badle humara commission mil jata hai. CSC Registration ke kuchh dino baad hume apne Email address par ek User ID milti hai jise hum OMT ID ke naam se jante hai. Is OMT ID aur password se hum apne apna CSC Account login karte hai. Jab aap CSC par pahli bar login krte hai to sabse pahle aapko apna password change krna hota hai, aap apne hisab se jo chahe vo password rkh skte hai.
Lekin Password banaane ke pahle instructions jarur padh lein. Iske baad aapko apna ek wallet create krna hota hai. Is wallet se aap apne Bank Account ko link karke jitne chahe utne paise is wallet me add kar skte hai. Wallet ke liye aapko alag se password create krna hota hai. Ab jo bhi services aap logo ko denge uske badle aako unse paise lena hai.
Note : Aap customer se cash na lekr cashless transaction ke through paisa lein to jyada behtar rhega. Qki Govt. ka main lakshy hi cashless transaction ko badhawa dena hai.
Ab har service ka paisa aapke CSC wallet me se kat jaega iske badle aapko commission milega aur aapke CSC wallet me add bhi ho jaega. CSC ki har service par aapko kitna commission milega iske liye commission list aapko apni CSC account me hi mil jaega.
Note : Aap customer se cash na lekr cashless transaction ke through paisa lein to jyada behtar rhega. Qki Govt. ka main lakshy hi cashless transaction ko badhawa dena hai.
Ab har service ka paisa aapke CSC wallet me se kat jaega iske badle aapko commission milega aur aapke CSC wallet me add bhi ho jaega. CSC ki har service par aapko kitna commission milega iske liye commission list aapko apni CSC account me hi mil jaega.
CSC me Kya-Kya si services available hai
Abhi tak CSC ke andar total 150+ services available hai aur regular ye services badhti hi ja rhi hai. Mai aapko yaha Sari services ke bare me to nhi bata paunga lekin haa CSC ki kuchh services ke baare me main aapko jarur batana chahunga.
CSC me aap logo ke PAN Card, Aadhar Card, Voter ID Card bana skte hai. Iske alawa aap Mobile Recharge, DTH Recharge, Passport Sewa, Pension Yojna, Insurance, Railway Ticket, Bus Ticket, Flight Ticket Booking kar skte hai. Iske alwa yadi koi student English speaking course krna chahta hai to iske liye aap uska online registration kar skte hai. Us student ke Email address par ek link, aur user name-password mil jaega.
Us link par click karke vah student online hi English Speaking Course kar skta hai. Isi type se Online Accounting Tally Course bhi CSC par available hai. Aur iske alawa Basic Computer Course (BCC), CCC (Computer Certifiction Course), A Level, O Level, Skill Development, PMGDISHA, PMKVY, Vocational Training Course etc CSC par aapko mil jate hai.
Yadi aap Aadhar card ka kaam bhi CSC me karna chahte hai to iske liye aapko iskel liye Nesit ki exam dena hoti hai. Isme pass hone par aap Aadhar Card ka kam bhi shuru kar sakte hai. Electricity ke bill aap CSC ke through online bhar skte hai. Aap kisi bhi student ko CSC me di gai University me admission dila skte hai. Telemedicine ka kam start karke aap apne CSC Center par hi logo ko Generic Davaai available krva skte hai. In sabhi services ke liye CSC ne alag alag commission fix kiya hua hai.
- पहले से पता होना चाहिए कि मोबाइल पानी में गिरने पर क्या करें
- अपने Mobile का IMEI Number जानने के लिए क्या करें
To friends, CSC ke sath sath aap aur bhi kai sare kam apni shop me kar skte hai jaise ki Photocopy, Printout, Lemination, Photo studio, Aap kisi Travel Agency ki franchise bhi le skte hai. Iske alwa aap kisi courier service ki franchise le skte hai. Iske sath hi MPOnline bhi aap start kr skte hai. CSC me aap Bank Mitra service bhi le sakte hai jisme aap ek mini bank ke rup me kaam karte hai. Is prakar aap apne gaav me ya shahar se hi lagbhag 30 se 50,000/- Rs tak aaram se kama skte hai.
CSC ke liye kaise apply kare
CSC ke liye India ka koi bhi citizen apply kr skta hai yadi uske paas aadhar Card hai to. Bina Aadhar Card ke liye aap CSC ke liye apply nhi kr skte hai. Aur ek hi Aadhar Card se aap 1 se jyada CSC Center ke liye apply nahi kar skte hai. CSC Registration karne ke liye yaha-> Click Kare. Jaise hi aap is website pahuchenge aapko New VLE (Village Level Enterprenure) me Click Here to Register par click karna hai.
Yadi yah website kam nahi kre to kuchh samay baad aap ise fir se try kre. Ab aapke samne CSC Registration ke liye form open ho jaega aur step by step aapko ise bharte jana hai. Iske baad bhi yadi aapko kuchh smjh nhi aata hai aur registration me koi problem aati hai to aap apne District ke DM se phone par bat kar skte hai ya unhe mail bhi kar skte hai. Aap District ke District Manager (DM) ke contact number ke liye yaha -> click kare.
To Friends, Maine apni taraf se aapko CSC ke bare me lagbhag puri jankari de di hai yadi aapko iske alawa aur bhi koi jankari chahiye to aap apne DM se bat kr skte hai. Milte hai humari next post me. Apna Khayaal rakhiyega.
Social Plugin