Ad Code

Responsive Advertisement

Ticker

6/recent/ticker-posts

How to Link Aadhar Card with PAN Card in Hindi

How to Link Aadhar Card with PAN Card

Apne Aadhar Card ko PAN Card se Link Kare

Hello Friends! Aaj ki yah Puri Post Hindi me hogi Kyu ki yah Post sirf aur sirf Indians ke liye hai."How to link AAdhar Card with PAN Card" aaj hum post me yahi sikhenge ki hum kaise apne Aadhar Card ko PAN Card se link kar sakte hai.

Dosto Jab se Bharat me Note Bandi hui hai tab se Indian Government ne Tax ki chori karne wale logo par apna shikanjaa kasna shuru kar diya hai. 

Yadi aap apna PAN card apne Aadhar card se link nahi karte hai to ho skata hai ki aane wale kuchh dino me aapka PAN Card Invalid ho jae. Isliye friends, jitna jaldi ho sake aap apna PAN Card apne Aadhar card se link kar lijiye. Yadi aapne abhi tak apna PAN card nahi banaya hai to yaha click kare-> Online Apply for PAN Card
Friends, Sabse pahle hum yah jan lete hai ki Why Linking AADHAR Card to PAN Card? Friends, Indian Govt. ne ab PAN Card ko Aadhar Card se link karna sabhi Indians ke liye compulsary kar diya hai. 

Govt. ka kehna hai ki Abhi current me lagbhag 25 crore indian citizens ke paas PAN Card available hai. Lekin kai sare log PAN card ka galat use bhi karte hai aur fake documents lagaakar bhi PAN card banva lete hai aur jise apni Identity Card banakr galat kaam ya fir crime me use kar karte hai.

Isliye Indian Govt. chahti hai ki PAN card ka kahi bhi galat use na ho. Aur ab sabhi logo ko apne PAN Card me AAdhar card ko link karna jaruri hoga. Taaki AAdhar Card ki saari information PAN card me link ki jaa sake.

Aur ab jo bhi log new PAN card ke liye Apply karenge unko apne AAdhar Card ki Photocopy dena compusary hogi. Otherwise hum new PAN card ke liye bhi apply nahi kar payenge.
Iske alawa yadi aap Apne PAN card aur AAdhar card ko link karna chahte hai to sabse jaruri bat yah hogi ki aapke Aadhar Card me jo name likha hua hai vahi naam aapne PAN card me bhi hona chahiye.

Iske alwa DOB bhi dono me same honi chahiye tabhi aap apne PAN card ko AAdhar Card se link kar payenge. Yadi aapke Aadhar Card  aur PAN card me DOB ya fir aapka Name match nahi kar rha hai to fir pahle aap apna name ya DOB me correction karva lijiye isi ke baad aap apne AAdhar ko PAN card se link kariyega.

AADHAR ko PAN Card se kaise Link kare

To Sabse pahle aaple aap income tax ki website open kar lijiye. Website par jane ke liye yaha Click kare. Jaise hi aap yaha click karenge aapke samne income tax ki website open ho jaegi. Ab Left Hand side me aapko Link Aadhar ki ek hyperlink dikhai degi, jaisa ki screenshot mein dikhaya gya hai.

Apne Aadhar Card ko PAN Card se Link Kare



Iske baad aapko Left Hand Side me dikhai de rhi link par click karna hoga. yadi aap chahe to directly yah page bhi open kar sakte hai. Jaise hi aap Link Aadhar par click karenge aapke samne yah page open hoga.


Link Aadhar to PAN, Link PAN Card to Aadhar

Ap aapke samne yah Page ho jane par aapko yah form fill karna hai bahut chhota sa yah form hai mere khayaal se aap badi aasani se is form ko fill kar sakte hai. Ek bat main yaha fir se kehna chahunga ki aapke Aadhar Card aur PAN card me DOB aur Name same hona chahiye yadi DOB aur Name me ek digit bhi alag hai to aap apne Aadhar card ko apne PAN card se link nahi kar payenge.

Jaise aap yah form pura fill kar lete hai at last aap Link Aadhar par click kar dein. Aisa karne par aapka Aadhar Card aapke PAN se link ho jaenga.


To Dosto! yah thi ek easy process jiski help se aap apne Aadhar ko PAN se badi easily link kar sakte hai. Yadi fir bhi aapko koi doubt ho to please apna comment niche comment box me drop kare. I'll reply to you. To milte hai humari next post mein. Take Care of you.

यह ब्लॉग खोजें