How to apply for Passport Online in India
Hello Friends, Aaj hum bat karenge ki kaise hum ghar baithe Online Passport ke liye apply kar sakte hai. Mujhe kai sare logo ke comments aay ki mai apni post me batau ki passport ke liye hum online apply kaise kar sakte hai. Isliye aaj is post me hum janenge Step by step process of applying for passport in India.
Doston, Jaisa ki hum jante hai pahle jab humko passport banvana hota tha tab yah kaam bahut hi jyada complicated hota tha. Passport office jao jaha par bahut sari bhid hoti thi, vha se form lekr aao ghar baithkar us form ko thik se bharo aur fir use jamaa karaane jao. kaafi mashakkat ka samna hume karna padta tha lekin ab aisa nhi hai. Ab Samay ekdum badal chuka hai aaj humko yadi apna passport banvana hai to hum keval 10 minut me hi online apply kar skte hai.
How to apply for Passport online in India?
Friends, Yah jo tarika main aapko bataane wala hu aap isko pahle thik se padh lein usi ke baad aap ise try kre. Bina apne doubts clear kiye aap bilkul apply na kre. Isliye aapse request hai ki pahle aap is post ko achhe se read kare usi ke baad apply kre. To guys chaliye shuru karte hai. Sabse pahle aap Passport India ki website open kar lijiye. Passport India ki website open karne ke liye aap yahaa click karein - > Click Here. Yahaan par aapko Left Hand Side me New User? Register Now par click kare.
Aur sabse pahle aap yah form fillup krke apna account create kar lijiye. Jaisa ki Left Hand Side me form ka screenshot dikhaya gya hai.
Yadi aap Passport ke liye Delhi apply krna chahte hai to Register to apply at me "Delhi" select kar lein ya fir yadi aap apne aaspas ke hi passport office me apply krna chahte hai to Passport Office select kr lein. Ab iske baad aata hai Passport Office. Yahaan par kuchh cities ke naam diye gye hai aap us city ka naam select kare jo aapke permanent address ke sabse pass ho. Iske baad mere khayaal se aap pura form fill kr lenge. Pura form fill krne ke baad Register button par click kar dein. Register button par click karte hi aapke samne ek message show hoga kuchh is tarah se.
Yah message show hone ke baad aap turant apna Email Account login kariye. Login karne par aapko Passport India ki website se ya fir is email Id (passport.admin@passportindia.gov.in) se ek jo confirmation mail aaya hai usme ek link dikhai degi. Us Link par click karke aap apne Email Account ko verify kar lijiye. Jaise hi aap is link par click karenge aapke samne fir se Passport India ki website open ho jaegi. Ab aapko yahaan par aapki User Id enter karne ke liye kaha jaega aap apni User Id ya Email Id enter kariye aur submit kar dijiye. Aisa karne se aapka Account successfully activate ho jaega.
Ab aap Click Here to Login par click karke apna account login kar lijiye. Login karke ke baad aap Applicant Home Page par navigate ho jaenge. Yaha par aapko kai sare options dikhai denge.
Ab yahaan par yadi aap pahli bar Passport ke liye apply kr rhe hai ya fir apne passport ko re-issue karna chahte hai to jaisa ki screen shot me dikhaya gya hai, aap Apply for Fresh Passport/Re-issue Passport link par click kare. Aisa karne se aap ek new page par navigate ho jaenge. Jaisa ki niche screen shot me dikhaya gya hai. Yaha par aapko 2 options dikhai denge. Mai inhe aapko samjha deta hu.
Pahla jo option hai usme aisa haiSuppose that humara internet connection very poor hai aur bar band disconect ho rha hai ya fir aapko online form fill krne me time lg rha hai aur bar bar session expire ho rha hai to aap form ko apne pc me download kar lijjiye. Ab is form ko badi aaram se sahi sahi pura bhar lijiye. Ab aap is form ko fir se isi website par upload kar sakte hai. Kaha upload karna hai yah mai aapko abhi aage bataunga.
Ab aata hai dusra tarika. Dusra tarika kehta hai ki aap chahe to form ko online hi fill kar sakte hai. Iske liye aapko form apne PC me download karne ki jarurat nahi hai. Aap ise online hi fill karein aur ise online hi submit kr dein. Yahaa par mere khayal se first option is better than second one.
- आधी उम्र बिता दी सफल होने में, फिर हासिल किया सबसे बड़ा पद
- जन-गण-मन सिखाने पर इस मदरसा टीचर की हुई जमकर पिटाई
Yadi aap form ko apne PC me download krna chahte hai to first link par click karke form download kar sakte hai. Jaisa ki screen shot me dikha gya hai.
Is prakar yah form aapke PC me download ho jaega. Ab aap is file ko Extract kar lein aur form open karke achhi tarah se read kr lein aur ise fill karna shuru kare. Aur jab yah form aap fill kar lein to jyada better hai ki aap is form ko kam se kam 2 bar fir se cross check kare ki kahi aapne kahi galti to nahi kar di hai. Yadi aapne ise cross check kar liya hai to fir ab time hai is fill kiye hue form ko fir se upload karne ka. First Option me hi aapko 3rd point milega jaha likha hoga Click here to upload filled form.
Yah par aap jaise hi click karenge aapke samne ek new page open hoga jaha aapse aapke state ka name aur district ka name puchha jaega. Aap in dono ko select karke submit kar dijiye. Iske baad aapse puchha jaega ki kya aap apne Passport par apna naam Hindi me bhi print karvaana chahte hai.
Yadi aap Hindi me apna Name aur Surname print karvana chahte hai ye dono type krke fir se Next button par click karein. Iske baad aap ek new page par navigate honge jaha aapko kuchh terms & conditions milegi aap inhe fill kar leina, Apna filled form upload kar dein, apna Mobile number daal dein aur finally Upload button par click kar dein. Upload karne ke baad aapko jo bhi Payment hai vah Payment kar dena hai.
Payment yaha main nahi likhunga kyuki samay-samay par payment kam jyada hote rehta hai isliye jo bhi payment show ho rha hai aap online vah payment kar dijiye. Payment karne time aapko appontment ke liye 2-3 dates di jati hai un 2-3 dates me se aap koi bhi ek date fix kar lijiye appointment ke liye us date ko aapko apne sare original documents ke sath apne nearest passport office pahuchna rehta hai. Aapke sare documents varify hone ke kuchh din baad aapke ghar Police aati hai, Police Verification ke liye. Police verification ho jane ke bad kuchh hi dino ke baad aapko aapka Passpot aapke ghar par By India Post aa jata hai.

To friends, Is prakar se aap ghar baithe apne Passport ke liye apply kar sakte hai. Mujhe nahi lagta ki yah koi jyada complicated process hai. Yah ek bahut hi easy process hai. Yadi aapko yah post pasand aai ho to please is post ko jarur share kare taki kisi jarurat mand ki help ho sake. Milte hai humari next post me. Have a nice Day.
Social Plugin